Monday, April 25, 2011

KHUSHION PE HISAAR MERE PYAAR KA NAHI.


KHUSHION PE HISAAR MERE PYAAR KA NAHI.
TERI INAYATEN HO TO GAM BHI BURA NAHI.
NEEDEN KHARAB KARTE HO KYON USKI YAAD ME.
IZHAAR-E-HAAL KARNE KA JAB HAUSALA NAHI.
MAINE TAMAAM UMR KIYA JISKA INTZAAR.....
USME KHULOOS-E-WAFA NAHI.
KAISE KARE ILAAZ BHALA KOI....
YE WO MARZ HAI JISKI DAWA NAHI.
AISA NAHI KI KOI BHI TUJHSA NAHI.....
MAGAR KOI BHI KHWAAB ME TERE SIWA NAHI....

HAWAAON SE HAM TERI MAHAK KO CHURA HI LENGE.....



HAWAAON SE HAM TERI MAHAK KO CHURA HI LENGE.,
KYON GHOOMTI HAI HAWA TERE SAATH PATA KARENGE..
 

NADI TU BAN JA KI.,
TERE PAHLU ME SHAAM BAN K MAI DOOB JAAUN..
TUMHARI SAANSO KI SEJ PAR.,

MAI NAGMA BAN K BIKHAR JAAUN..
 

TUJHE BANA KAR NAZM HAM PADHA KARENGE....
AJEEB RISHTA HAI.,

ISKI KHUSHBOO SANBHALO JITNA BIKHAR RAHI HAI.,
HAMNE KI TOOT K MOHABBAT HAMARI KAHANI AB KHATAM RAHI HAI..
 

KI TERI NIGAHON ME DHALA KARENGE.,
HAZAAR PATTHAR SAHENGE FIR BHI WAFA KARENGE !!

Dard-e-dil ....




JAHAN HAM JUDA HUYE THE WO MAQAAM LIKH DIYA HAI.
MERE AANSUON NE AKSAR TERA NAAM LIKH DIYA HAI.
TUJHE APNI KARWATON KA HISAAB DUN TO KYA DUN.
TERA KHAT MILA HAI LEKIN MAI JAWAAB DUN TO KYA DUN.
MAINE SIRF KORE KAGAZ PE SALAAM LIKH DIYA HAI.
KABHI IN KAHANION NE , KABHI UN PAHELION NE ....
MUJHE IS KADAR SATAYA HAI TERI GALION NE.
KI TERA NAAM LIKH KE AAGE MAINE APNA NAAM LIKH DIYA HAI.
TERA NAAM DHADKANO ME, TERA NAAM LABON PAR...
TERA NAAM AANSUON ME, TERA NAAM AAINO PAR.
KISI AUR KO MAI SOCHUN YE HARAAM LIKH DIYA HAI........

Meri Jaan Tere Bin....


~*~Meri Jaan Tere Bin~*~

Tere bina yeh Safar-e-Zindagi ko mukammal karun kaise.,
Tere bina mere bejaan Naam ko main pehchaan dun kaise..

Teri paak nazron se utha har ek Ilzaam qabul hai
Meri Jaan.,
Teri saanson ki aahon ko sahun main kaise..

De chahe saza mujhe saath zanmon ki
Na shikwa karenge.,
Jo tu durr durr rahe mujhse toh iss janam ko paar karun kaise..

Tamannaon ke bhanwar mein pisti chali gayi Na jaane kyun.,
Iss doobti hui kashti ko majhdaar se main ubharun kaise..

Mera sajda tu.. Meri ibadat tu.. Meri har dua ki awaaz tu.,
Tu hi naa sunne meri sada Toh uss khuda ke paas jaun kaise..

Kehti thi main tujhe apna Chamakta Sitara.. Ab ehsaas hua yeh.,
Soone aangan mein jo Chaand banke aaya usse Sitara kahun kaise..


Iss aag ke dariye ko paar kare.. Jo tera haath ho haathon mein.,
Chal na mere Sang!! In lakeeron ke adhurepan ko mitaun kaise..

Teri baahon mein hoti thi subha.. Teri panahon mein shaam meri.,
Tu nahi toh apni Khwahishon ki Kitaab ko anjaam dun kaise..


Mere Qabr ki Mitti naa jaane kyun aaj rukhi hai Jaan.,
Main isse tere Ashqon ke Mausam ke qaabil banaun kaise..

Yun nazrein naa fer Berukhi se.. Dekh ke mera dafan hota hua Jism.,
Tujhi mein samatii thi kabhi.. Aaj Tanha is Andhere mein Samaun kaise..


~~~*~ANGEL~*~~~



__________________
Im happy to love u..
But im really scared to loose u..



Hum umeedo ki duniya basaate rahe.,
Vo bhi har kadam par aazmaate rahe..
Jab mohabbat ke imtihaan mein marna pada.,
Humne jaan dedi aur vo kasmein khaate rahe..


Ab na koshish karenge unhe bhulaane ki.,
jinki aadat hai binn baat rooth jaane ki..
vo chaahe toh bhool jaaye hamein sapna samajh kar
magar hamein aadat nahin apno ko dil se bhulaane ki

Tumse dosti karke har khushi meri taraf muskuraane lagi
meri tanha raaton mein bhi geet tere pyar ke gaane lagi
hue hai bas do hi din aapse miley hue par
yeh DOSTI aapki mere dil mein ghar banaane lagi

Dosti Ghazal hai
gungunaane ke liye
Dosti nagma hai sunaane ke liye
yeh vo jazba hai jo sabko milta nahin
kyunke hosla chaahiye DOSTI nibhaane ke liye

Yun mili jo nigaahe
dosti ittefaq hogayi
Raah mein chalte chalte tumse mulaaqat hogayi
Jab se basaaya hai tumhe nigaaho mein
Pata na chala kab din kab raat hogayi

Iss zamane se bohat
alag ho aap
Vo khush kismat hai jiske paas ho aap
Hamare liye vo waqt hi haseen hai
Jab hamein yaad karke dil se muskura lete ho aap

Kabhi kisi baat ko
dil se na lagaana
agar koi gham ho toh hamein zaroor bataana
tumhare liye hamare paas waqt hi waqt hai
jab dil bhar aaye toh chale aana

Nigahen aapki
pehchan hai hamari,
Muskarahat aapki shan hai hamari,
Karna hifazat tum apni,
Kyounki sanse aapki jaan hain hamari...


Bolti hai dosti chup
rehta hai pyar
Hasaati hai dosti rulaata hai pyar
Milaati hai dosti judaa karta hai pyar
Phir bhi kyu dosti chodkar lowg karte hai pyar

shyaad fursat nahi
hai ruthne manane ki,

Nigahe badal gai apne or begano ki,
tum na chodna haath
dosti ka, warna
tamanna na rahegi dost banane ki.

Sitaro ki bheed se
churaaya hai apko
Dil se apna dost banaaya hai apko
Iss dil ko tootne na dena kabhi…
Kyun ke…Iss dil ke kone mein chupaaya hai apko

Ae dost zindagi bhar
mujhse dosti nibhaana
dil ki koi bhi baat humse kabhi na chupaana
sath chalna mere tum dukh sukh mein
bhatak jau mein jo kabhi sahi raasta dikhlaana !!